Pehli Mulakat Mein usne Mere Dil Ko Chhuliya,

 Aj bhi jab Raat ke andhere mein jab Aankhein Band karta hun,

 to uska muskurata Hua  khubsurat Chehra Meri Aankhon Ke Samne aa jata hai,

aur Mere Dil Mein Dabe hue uski Yaadon Ke sare Pal fir se ubhar ate hai

 yah Kahani Hai Meri yani Dilshad Ahmad ki doston baat undino Ki hai jab mera tranfar Haridwar ho gaya tha,


Main ek car company me  auto mechanic tha lekin Meri khudari aur imandari ki vajah se company Malik Ne Mujhe manager ka wohada(post) De diya tha,


 Ek Sal Lucknow mein manager Ke Pad per kam karne ke bad company Malik ne Haridwar Mein Ek New company launch ki thi,

to meri duty vahin per Lag Gai thi, halaki Haridwar Mere Liye pahle dafa tha,


 Haridwar Mere Liye Ek Nai Jagah thi,

  transfer Ho Jaane ke bad mene  Apna bag pack kya aur Haridwar ko Ravana Ho Gaya,

Meri umr uss same 24 thi or dekhne me bhi hansam tha,


Main Lucknow se Haridwar ke liye train Pakri Sari Raat train chalne ke bad Subah ke 6 baje train Haridwar railway station per pahunch chuki thi,


main sleeper class mein Sari Raat ek hi seat per let kar Mera Badan Dard Karne Laga tha,

 train Mein Baithe Baithe Ye Soch raha tha ki kab Subah Hogi Aur meri train Haridwar station par rukegi,


 train ke rukte hi log Apna Apna Saman Sametne Lage  main bhi apna bag kiya aur Sitt Se Khada Ho Gaya,


 sab log train se bahut jaldbaji Mein nikal rahe the jaise ki Unki Koi Aur train chhutane wali hai,


lekin mujhe kya Mein To Sab Ke Nikal jaane ka Intezar kar raha tha,

 Kyunki Mera to stop a chuka tha Sab Ke Nikal jaane ke bad main bhi train se bahar nikala train se bahar Nikalte Hi mujhe bahut hi accha feel hua,


 Uss same decmbar ka din tha, sab log apna jacket aur cap Laga Rakhe the, train se nikal Jaise hi Mein platform par gaya to Bahar ka najara Dekh Kar Main khush ho gaya,


Kyunki Haridwar ke bade bade hare bhare Pahad platform Se Hi dekh rahe the,


 Main Apni Jindagi Mein itne bade bade Pahad pahli bar Dekha tha,

Unn Hare bhare Pahadon se Thandi Thandi hawayen Mere Galo Ko Chhu Kar Mujhe romantic mood  banaa rahi thi,


 bahut hi Khubsurat najara tha platform ka me ek hi  jagah Khada hokar Mein Charo Taraf dekh raha tha, vah Ek Chhota Sa platform aur Charo Taraf  bade bade hare bhare Pahad, 


Tabhi  Maine Dekha Mere Samne Wali bench per UN sabse Jyada Khubsurat aur sabse Jyada Pyari Ek Ladki Baithi hui thi,


 usse Dekhkar Main unche hare bhare Pahadon ki khubsurti Uske Aage kam pad Gai thi,

Ek hi najar me voh mere dil ko chhu liya thi mein bas use  hibEk Tak hi Dekhe ja raha tha,ladki apni train Ke Intezar Mein bench per baithkar railway track ko dekh rahi thi,


 Kabhi idhar Dekhti Hai To Kabhi Udhar Dekhti Shayad uski train aane hi wali Thi,.

 Me usse bahot gaor se dekh raha tha (yani)Mera Sara Dhyan sirf ladki per Hi Tha,

 Kuch der mano ki me uski b yado  me gum ho gaya tha tabhi mujhe ek Awaaz Suni padi,


 han kya hua yaha kya kar rahe  Ho ticket dikhao main Usi Ki Taraf Dekha To TT tha,


 main  ticket dikhayen aur aage ki aur badh gaya,

Mera Dil platform se bahar jaane Ko Nahin kar raha tha,

 Main Soch raha tha ki use ladki se baat karu lekin Kaise Koi to Bahana Hona chahie baat karna,


 FIR main bahut Himmat Karke Uske Bagal hi Usi ke bench per Mein baith Gaya,


 lekin usne mujhe Dekha Tak Nahin,ladki jitni sundar Dur Se Dekhne Mein  lag rahi thi pass Aakar Aur Bhi Khubsurat Lagne Lagi Thi,


Gulabi lips badi badi Gol kajrari Aankhen aur naak naksha  Kisi heroine Se Kam Nahin thi,

main usse Baat karna Chahta tha lekin Main Dar raha tha,


 FIR main usse bahut jyada Himmat kar ke bol pada,

hi mera naam Dilshad Ahmed Main Ek company ke manager hun usne Meri Taraf Dekha aur helo bol kar a FIR apne phone mein Kuchh dekhne Lagi,


 FIR main usse kahan main Haridwar mein naya hun aur meri transfer bhi yahi ho gaya hai kya aap mujhe yah adress Bata sakti hai,Card dete hue Kaha


Ladki ne card ko hatho me leke  dekha or boli  ye addrash yaha se lagbhag 3km Dur par hai,



 Maine bat ko age badhate hue kaha aapane Apna Naam Nahin bataya mera naam sweety,

  ApYahi ki Rahane wali hai main yah ki Rahane wali hun,


 ab train se kahan ja rahi hai meri Nani e Bareilly mein rahti hai,

 vah is Samay bahut jyada bimar hai to main unhen ke yahan ja rahi hun,


Ladka-vaise main bhi Lucknow ka Rahane wala hun aadhe ghante Tak Hamari aur uski Bahut baten Hui,

FIR uski train a gai tab tak Ham donon Ek dusre Mein Kafi kul mil gaye the,


 Sweety ki train platform rawana  hone ke liye horn dene Lagi usne Mujhse kaha  Achcha ab Mere jaane ka Waqt ho gaya hai ,

aur vah jakar apni konch Mein chad Gai tab tak train Dhire Dhire platform chhodane Lagi Thi,


 vah Gate per Khadi hokar Meri Taraf Hath Hila kar bida hone ka isara kar rahe the,

 Aur Main bhi platform per Khada use dekh kar Dhire Dhire se  Apne hath ko hila Raha Thi,


Aur vah Mujhse Dur Ja Rahe the Jaise Jaise vah Dur Ja Rahe the uska Chehra Meri Aankhon Ke Samne dhundhla hota ja raha tha,

 aur mein Khada use dekh raha tha FIR Ek Samay Aisa aaya ki vah aur uski train donon Dur nikal gaye the,

 

Khuda Bhi Kabhi Kabhi Aise logo se mila deta hai,

Jinhe bhul bhi nhi sakte or mill bhi nhi sakte,

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ